pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe
pahle jaisā rañg-e-bām-o-dar nahīñ lagtā mujhe
ab to apnā ghar bhī apnā ghar nahīñ lagtā mujhe
lagtī hogī tujh ko bhī merī nazar badlī huī
terā paikar bhī tirā paikar nahīñ lagtā mujhe
kyā kahūñ is zulf se vābastagī kā fā.eda
ab añdherī raat meñ bhī Dar nahīñ lagtā mujhe
mujh ko zaḳhmī kar nahīñ saktā koī dast-e-sitam
maiñ nadī kā chāñd huuñ patthar nahīñ lagtā mujhe
sunnat-e-shāh-e-umam kā huuñ maiñ lazzat-āshnā
ḳhaak se behtar koī bistar nahīñ lagtā mujhe
jab se dastār-e-fazīlat paa.ī hai darbār meñ
jaane kī shānoñ pe apnā sar nahīñ lagtā mujhe
haiñ suḳhanvar 'nāz' achchhe aur bhī is daur meñ
koī 'dānish' kā magar ham-sar nahīñ lagtā mujhe
pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe
ab to apna ghar bhi apna ghar nahin lagta mujhe
lagti hogi tujh ko bhi meri nazar badli hui
tera paikar bhi tera paikar nahin lagta mujhe
kya kahun is zulf se wabastagi ka faeda
ab andheri raat mein bhi Dar nahin lagta mujhe
mujh ko zaKHmi kar nahin sakta koi dast-e-sitam
main nadi ka chand hun patthar nahin lagta mujhe
sunnat-e-shah-e-umam ka hun main lazzat-ashna
KHak se behtar koi bistar nahin lagta mujhe
jab se dastar-e-fazilat pai hai darbar mein
jaane ki shanon pe apna sar nahin lagta mujhe
hain suKHanwar 'naz' achchhe aur bhi is daur mein
koi 'danish' ka magar ham-sar nahin lagta mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.