pahle jaisa wo DhunDhta hai mujhe
pahle jaisā vo DhūñDhtā hai mujhe
aa.ina roz Toktā hai mujhe
zehn jitnā bhī iḳhtilāf kare
mashvara dil kā mānñā hai mujhe
so bhī jā.ūñ to ai mirī beTī
terī āñkhoñ meñ jāgnā hai mujhe
us se bedār mujh ko rahnā hai
jo abhī TuuT kar milā hai mujhe
har ghaḌī maiñ bikhartī rahtī huuñ
har ghaḌī vo sañbhāltā hai mujhe
us kī tārīf mujh ko karnī hai
us ne kyā kyā nahīñ kahā hai mujhe
saarī duniyā hasīn kar dūñgī
hazrat-e-ishq kī duā hai mujhe
mere baare meñ koī raa.e na de
tū abhī kitnā jāntā hai mujhe
pahle jaisa wo DhunDhta hai mujhe
aaina roz Tokta hai mujhe
zehn jitna bhi iKHtilaf kare
mashwara dil ka manna hai mujhe
so bhi jaun to ai meri beTi
teri aankhon mein jagna hai mujhe
us se bedar mujh ko rahna hai
jo abhi TuT kar mila hai mujhe
har ghaDi main bikharti rahti hun
har ghaDi wo sanbhaalta hai mujhe
us ki tarif mujh ko karni hai
us ne kya kya nahin kaha hai mujhe
sari duniya hasin kar dungi
hazrat-e-ishq ki dua hai mujhe
mere bare mein koi rae na de
tu abhi kitna jaanta hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.