pahle jo tha wahi hai haal miyan
pahle jo thā vahī hai haal miyāñ
ishq ko hai kahāñ zavāl miyāñ
ek dil hī nahīñ bahut kuchh hai
jis ke luTne kā hai malāl miyāñ
razm-gāh-e-hayāt meñ kyā kyā
kaam aa.ī hai ġham kī Dhaal miyāñ
aadmī vaqt kī jabīñ par hai
aaj sab se baḌā savāl miyāñ
dil halāk-e-ġham-e-zamāna huā
paḌ gayā aa.ine meñ baal miyāñ
qais-o-farhād se na do tashbīh
aap apnī huuñ maiñ misāl miyāñ
ik yahī raushnī-e-tab.a to hai
merī pūñjī mirī manāl miyāñ
is ġham-e-zīst ke talātum meñ
kyā firāq aur kyā visāl miyāñ
kab huā ham se be-kulāhoñ kā
kaj-kulāhoñ se ittisāl miyāñ
ham qalandar haiñ ham se mat uljho
aa gayā gar kahīñ jalāl miyāñ
sach hai 'jābir' kā dam ġhanīmat hai
ab kahāñ aise ḳhush-maqāl miyāñ
pahle jo tha wahi hai haal miyan
ishq ko hai kahan zawal miyan
ek dil hi nahin bahut kuchh hai
jis ke luTne ka hai malal miyan
razm-gah-e-hayat mein kya kya
kaam aai hai gham ki Dhaal miyan
aadmi waqt ki jabin par hai
aaj sab se baDa sawal miyan
dil halak-e-gham-e-zamana hua
paD gaya aaine mein baal miyan
qais-o-farhad se na do tashbih
aap apni hun main misal miyan
ek yahi raushni-e-taba to hai
meri punji meri manal miyan
is gham-e-zist ke talatum mein
kya firaq aur kya visal miyan
kab hua hum se be-kulahon ka
kaj-kulahon se ittisal miyan
hum qalandar hain hum se mat uljho
aa gaya gar kahin jalal miyan
sach hai 'jabir' ka dam ghanimat hai
ab kahan aise KHush-maqal miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.