pahle jo thi dilon mein mohabbat nahin rahi
pahle jo thī diloñ meñ mohabbat nahīñ rahī
afsos ab jahāñ meñ sharāfat nahīñ rahī
ik mehrbāñ kī chashm-e-karam mujh pe ho ga.ī
duniyā tire karam kī zarūrat nahīñ rahī
tum ne nigāh pherī to ehsās ye huā
duniyā meñ kuchh ḳhulūs kī qīmat nahīñ rahī
ye aur baat maiñ ne hī tujh ko bhulā diyā
hamrāh mere kab tirī rahmat nahīñ rahī
kyoñ aap kā.enāt se bezār ho ga.e
kyā dil meñ raushnī-e-mohabbat nahīñ rahī
manzil se āshnā vo kabhī ho nahīñ sakā
hāsil jise kisī kī qayādat nahīñ rahī
maiñ ne kisī kā dil nahīñ toḌā kabhī 'anā'
vallāh mujh meñ ye kabhī aadat nahīñ rahī
pahle jo thi dilon mein mohabbat nahin rahi
afsos ab jahan mein sharafat nahin rahi
ek mehrban ki chashm-e-karam mujh pe ho gai
duniya tere karam ki zarurat nahin rahi
tum ne nigah pheri to ehsas ye hua
duniya mein kuchh KHulus ki qimat nahin rahi
ye aur baat main ne hi tujh ko bhula diya
hamrah mere kab teri rahmat nahin rahi
kyon aap kaenat se bezar ho gae
kya dil mein raushni-e-mohabbat nahin rahi
manzil se aashna wo kabhi ho nahin saka
hasil jise kisi ki qayaadat nahin rahi
main ne kisi ka dil nahin toDa kabhi 'ana'
wallah mujh mein ye kabhi aadat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.