pahle KHud ko jalaega suraj
pahle ḳhud ko jalā.egā sūraj
phir kahīñ jagmagā.egā sūraj
lamha lamha karegā ek jagah
aur sadiyāñ bānegā sūraj
mere aañsū na pī sakā ab tak
yuuñ to dariyā sikhā.egā sūraj
bahte paanī meñ jhāñk lene do
ḳhud-baḳhud Dagmagā.e sūraj
zulf lahrā ke mat chalo din meñ
rāsta bhuul jā.egā sūraj
chal ke nudrat-'navāz' ke ghar tak
jaane kis roz aa.egā sūraj
pahle KHud ko jalaega suraj
phir kahin jagmagaega suraj
lamha lamha karega ek jagah
aur sadiyan banega suraj
mere aansu na pi saka ab tak
yun to dariya sikhaega suraj
bahte pani mein jhank lene do
KHud-baKHud Dagmagae suraj
zulf lahra ke mat chalo din mein
rasta bhul jaega suraj
chal ke nudrat-'nawaz' ke ghar tak
jaane kis roz aaega suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.