pahle KHuddari dikha kar phans gae
pahle ḳhuddārī dikhā kar phañs ga.e
phir vafā-dārī nibhā kar phañs ga.e
tum ko to ma.alūm thā ulfat kā sach
tum bhalā kyuuñ dil lagā kar phañs ga.e
jo ziyāda qurbatoñ se the dukhī
vo sabhī se duur jā kar phañs ga.e
jhuuT bolā ḳhuub bolā aur phir
ḳhud se hī nazreñ milā kar phañs ga.e
ham añdherā kar ke hī raushan hue
aur hamīñ mash.al jalā kar phañs ga.e
koī mai-ḳhāna nahīñ is shahr meñ
ham yahāñ par ghar banā kar phañs ga.e
pahle KHuddari dikha kar phans gae
phir wafa-dari nibha kar phans gae
tum ko to malum tha ulfat ka sach
tum bhala kyun dil laga kar phans gae
jo ziyaada qurbaton se the dukhi
wo sabhi se dur ja kar phans gae
jhuT bola KHub bola aur phir
KHud se hi nazren mila kar phans gae
hum andhera kar ke hi raushan hue
aur hamin mashal jala kar phans gae
koi mai-KHana nahin is shahr mein
hum yahan par ghar bana kar phans gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.