pahle ki ba-nisbat hai mujhe kaam ziyaada
pahle kī ba-nisbat hai mujhe kaam ziyāda
dil ko hai magar ḳhvāhish-e-ārām ziyāda
nākām rahī shā'irī jin pesh-ravoñ kī
dete haiñ 'azīzoñ ko vo paiġhām ziyāda
kam-kosh the kaj apnī kulah rakh nahīñ paa.e
bāġhī na bane aur hue badnām ziyāda
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe haiñ
āġhāz kiyā kam huā anjām ziyāda
duniyā se tavaqqo' nahīñ kuchh dād-o-sitad kī
ḳhūbāñ ko sadā detī hai dushnām ziyāda
pahle ki ba-nisbat hai mujhe kaam ziyaada
dil ko hai magar KHwahish-e-aram ziyaada
nakaam rahi sha'iri jin pesh-rawon ki
dete hain 'azizon ko wo paigham ziyaada
kam-kosh the kaj apni kulah rakh nahin pae
baghi na bane aur hue badnam ziyaada
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe hain
aaghaz kiya kam hua anjam ziyaada
duniya se tawaqqo' nahin kuchh dad-o-sitad ki
KHuban ko sada deti hai dushnam ziyaada
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 107)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.