pahle kiya gaya mujhe yakta-e-rang-o-bu
pahle kiyā gayā mujhe yaktā-e-rañg-o-bū
phir rañj kī tahoñ meñ utārā gayā mujhe
to iztirāb meñ hī liyā hogā merā naam
varna kabhī sukūñ meñ pukārā gayā mujhe
māthe pe likh diyā gayā us ḳhush-adā kā hijr
aur hijr ke darūñ meñ sañvārā gayā mujhe
pairoñ ko roktī rahī āvāz-e-raftagāñ
sahrā-e-ḳhāk-o-ḳhūñ meñ utārā gayā mujhe
ab mujh meñ DhūñDhiye na nishāñ shahr-e-zāt kā
hijrat ke rauzanoñ meñ nithārā gayā mujhe
is se bhī dil kā saath koī der hī rahā
jis ḳhvāb ke fusūñ meñ utārā gayā mujhe
vo shahr-e-sar-nigūñ ki jahāñ dil kahe jise
us shahr-e-sar-nigūñ meñ sañvārā gayā mujhe
pahle kiya gaya mujhe yakta-e-rang-o-bu
phir ranj ki tahon mein utara gaya mujhe
to iztirab mein hi liya hoga mera nam
warna kabhi sukun mein pukara gaya mujhe
mathe pe likh diya gaya us KHush-ada ka hijr
aur hijr ke darun mein sanwara gaya mujhe
pairon ko rokti rahi aawaz-e-raftagan
sahra-e-KHak-o-KHun mein utara gaya mujhe
ab mujh mein DhunDhiye na nishan shahr-e-zat ka
hijrat ke rauzanon mein nithaara gaya mujhe
is se bhi dil ka sath koi der hi raha
jis KHwab ke fusun mein utara gaya mujhe
wo shahr-e-sar-nigun ki jahan dil kahe jise
us shahr-e-sar-nigun mein sanwara gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.