pahle kulfat uThai daftar ki
pahle kulfat uThā.ī daftar kī
phir uThe ḳhaak chhānī dar-dar kī
tum ko DhūñDā na dil ke ḳhānoñ meñ
ham ne kunDī bajā.ī har ghar kī
ham to sahrā-navard haiñ bhaa.ī
baat kar yuuñ na ham se tū ghar kī
dard se phaT rahā ho jin kā sar
un ko hājat nahīñ hai patthar kī
terī yādoñ se siina chiir liyā
aur bātoñ ne jā lī ḳhanjar kī
dard ko dil kā de diyā rasta
aur phir ham ne lī ḳhabar sar kī
maare maare phire tirī ḳhātir
sahrā-sūrat banā lī hai ghar kī
ham ko ik laash to girānī hai
kaun silvaT sameTe bistar kī
pahle kulfat uThai daftar ki
phir uThe KHak chhani dar-dar ki
tum ko DhunDa na dil ke KHanon mein
hum ne kunDi bajai har ghar ki
hum to sahra-naward hain bhai
baat kar yun na hum se tu ghar ki
dard se phaT raha ho jin ka sar
un ko hajat nahin hai patthar ki
teri yaadon se sina chir liya
aur baaton ne ja li KHanjar ki
dard ko dil ka de diya rasta
aur phir hum ne li KHabar sar ki
mare mare phire teri KHatir
sahra-surat bana li hai ghar ki
hum ko ek lash to girani hai
kaun silwaT sameTe bistar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.