pahle laga tha hijr mein jaenge jaan se
pahle lagā thā hijr meñ jā.eñge jaan se
par jī rahe haiñ aur vo bhī itminān se
donoñ ko joḌe ishq kī nāzuk sī Dor thī
afsos vo bhī TuuT ga.ī khīñch-tān se
phir darmiyāñ bachegā jo vo ishq hī to hai
duniyā agar nikāl deñ ham darmiyān se
iz.hār karte rahte haiñ vaise to kitne log
achchhā lagegā par mujhe terī zabān se
avval to qā.ede se vahāñ ham hī aate dost
us ne magar nikāl diyā imtihān se
merā hī haq milā mujhe ehsān kī tarah
us ne muāfī maañg lī lekin gumān se
pahle laga tha hijr mein jaenge jaan se
par ji rahe hain aur wo bhi itminan se
donon ko joDe ishq ki nazuk si Dor thi
afsos wo bhi TuT gai khinch-tan se
phir darmiyan bachega jo wo ishq hi to hai
duniya agar nikal den hum darmiyan se
izhaar karte rahte hain waise to kitne log
achchha lagega par mujhe teri zaban se
awwal to qaede se wahan hum hi aate dost
us ne magar nikal diya imtihan se
mera hi haq mila mujhe ehsan ki tarah
us ne muafi mang li lekin guman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.