pahle lagta tha bin tere mar jaunga
pahle lagtā thā bin tere mar jā.ūñgā
tū ne chhoḌā to phir maiñ kidhar jā.ūñgā
tū bhī lagtā hai mujh ko zamāne sā hī
tere dil se bhī ik din utar jā.ūñgā
terī aadat ne mujh ko bigāḌā hai par
ek din dekhnā maiñ sudhar jā.ūñgā
phir tire paas se dekhnā kaise maiñ
tujh ko dekhe binā hī guzar jā.ūñgā
aaj bātoñ meñ huuñ terī nazroñ meñ huuñ
jald dil meñ tire ho amar jā.ūñgā
terī nazar-e-karam kī hī bas der hai
ye jo bigḌā huā huuñ sañvar jā.ūñgā
us kī yādeñ raheñgī mire saath saath
shahr ye chhoḌ kar ab agar jā.ūñgā
ek din chhoḌ ye ġham-zadoñ kā jahāñ
ban maiñ guzrī purānī ḳhabar jā.ūñgā
ban ke bādal havāoñ ke sang uḌ ke maiñ
DhūñDne tujh ko har ik nagar jā.ūñgā
kyā kahā tujh ko mujh par bharosa nahīñ
tujh ko lagtā hai ki maiñ mukar jā.uñgā
huuñ mohabbat mohabbat mohabbat huuñ maiñ
terā dil to nahīñ huuñ jo bhar jā.ūñgā
aaj ḳhushbū mirī hogī kal chhāñv bhī
phuul huuñ aaj kal ban shajar jā.ūñgā
pahle lagta tha bin tere mar jaunga
tu ne chhoDa to phir main kidhar jaunga
tu bhi lagta hai mujh ko zamane sa hi
tere dil se bhi ek din utar jaunga
teri aadat ne mujh ko bigaDa hai par
ek din dekhna main sudhar jaunga
phir tere pas se dekhna kaise main
tujh ko dekhe bina hi guzar jaunga
aaj baaton mein hun teri nazron mein hun
jald dil mein tere ho amar jaunga
teri nazar-e-karam ki hi bas der hai
ye jo bigDa hua hun sanwar jaunga
us ki yaaden rahengi mere sath sath
shahr ye chhoD kar ab agar jaunga
ek din chhoD ye gham-zadon ka jahan
ban main guzri purani KHabar jaunga
ban ke baadal hawaon ke sang uD ke main
DhunDne tujh ko har ek nagar jaunga
kya kaha tujh ko mujh par bharosa nahin
tujh ko lagta hai ki main mukar jaunga
hun mohabbat mohabbat mohabbat hun main
tera dil to nahin hun jo bhar jaunga
aaj KHushbu meri hogi kal chhanw bhi
phul hun aaj kal ban shajar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.