pahle mazaq-e-dard to paida kare koi
pahle mazaq-e-dard to paida kare koi
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
pahle mazāq-e-dard to paidā kare koī
phir apne dil meñ terī tamanna kare koī
chāk-e-jigar ne faash kiyā rāz-e-dard-e-ishq
kyā baat rah ga.ī hai ki pardā kare koī
rūdād-e-ḳhūñ-chakān-e-mohabbat hai har sarishk
is tarah bhī na ḳhūn-e-tamannā kare koī
ye jalva kyā ki kauñd ke bijlī sī rah ga.ī
yuuñ aao sāmne ki nazārā kare koī
zauq-e-talab meñ apnī hī hastī hai sadd-e-rāh
āsāñ nahīñ ki terī tamanna kare koī
ā.īna-e-vajūd meñ ik partav-e-jamāl
is tarah jalva-gar hai ki dekhā kare koī
'farruḳh' agar hai nāsiya-sā.ī kā hausla
pahle sar-e-niyāz to paidā kare koī
pahle mazaq-e-dard to paida kare koi
phir apne dil mein teri tamanna kare koi
chaak-e-jigar ne fash kiya raaz-e-dard-e-ishq
kya baat rah gai hai ki parda kare koi
rudad-e-KHun-chakan-e-mohabbat hai har sarishk
is tarah bhi na KHun-e-tamanna kare koi
ye jalwa kya ki kaund ke bijli si rah gai
yun aao samne ki nazara kare koi
zauq-e-talab mein apni hi hasti hai sadd-e-rah
aasan nahin ki teri tamanna kare koi
aaina-e-wajud mein ek partaw-e-jamal
is tarah jalwa-gar hai ki dekha kare koi
'farruKH' agar hai nasiya-sai ka hausla
pahle sar-e-niyaz to paida kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.