pahle mujhko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua
pahle mujh ko bhī ḳhayāl-e-yār kā dhokā huā
dil magar kuchh aur hī aalam meñ thā khoyā huā
dil kī sūrat ghaT rahī hai Dūbte sūraj kī lau
uTh rahā hai kuchh dhuāñ sā duur bal khātā havā
maiñ ne betābāna baḌh kar dasht meñ āvāz dī
jab ġhubār uTThā kisī dīvāne kā dhokā huā
niiñd uchaT jā.egī in matvālī āñkhoñ kī na sun
merī hastī kā fasāna hai bahut uljhā huā
dil se Takrā jaatī hai rah rah ke koī mauj 'zeb'
shab kā sannāTā koī bahtā huā dariyā huā
pahle mujh ko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua
dil magar kuchh aur hi aalam mein tha khoya hua
dil ki surat ghaT rahi hai Dubte suraj ki lau
uTh raha hai kuchh dhuan sa dur bal khata hawa
main ne betabana baDh kar dasht mein aawaz di
jab ghubar uTTha kisi diwane ka dhoka hua
nind uchaT jaegi in matwali aankhon ki na sun
meri hasti ka fasana hai bahut uljha hua
dil se Takra jati hai rah rah ke koi mauj 'zeb'
shab ka sannaTa koi bahta hua dariya hua
- Book : zartaab (Pg. 263)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.