pahle mujhko faraaz hona hai
pahle mujh ko farāz honā hai
phir mujhe dil-navāz honā hai
maiñ tire saath chal rahā huuñ ab
mujh ko bhī sarfarāz honā hai
chāra-sāzī meñ rab kī rahmat ho
shukriye meñ namāz honā hai
saath maañ baap kī du'ā.eñ haiñ
'umr ko to darāz honā hai
is zamāne meñ rahne ko 'chetan'
tujh ko kuchh duniyā-sāz honā hai
pahle mujh ko faraaz hona hai
phir mujhe dil-nawaz hona hai
main tere sath chal raha hun ab
mujh ko bhi sarfaraaz hona hai
chaara-sazi mein rab ki rahmat ho
shukriye mein namaz hona hai
sath man bap ki du'aen hain
'umr ko to daraaz hona hai
is zamane mein rahne ko 'chetan'
tujh ko kuchh duniya-saz hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.