pahle mujhe nisab se ghafil kiya gaya
pahle mujhe nisab se ghafil kiya gaya
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
pahle mujhe nisāb se ġhāfil kiyā gayā
phir imtihāñ ke vāste qaa.il kiyā gayā
saarī sipāh dūsrī jānib chalī ga.ī
mujh ko jo mere madd-e-muqābil kiyā gayā
phir ḳhvāhishoñ ko dil kī sifārish pe ek din
ḳhvāboñ kī ḳhānqāh meñ dāḳhil kiyā gayā
kuchh kashtiyoñ ne mil ke jazīre banā liye
dariyā jo sāhiloñ ke mumāsil kiyā gayā
ā.inda marhaboñ se ulajhnā nahīñ kabhī
ḳhaibar se kyā sabaq yahī hāsil kiyā gayā
shauq-e-safar ke izn-e-junūñ se milāp par
kitne hī rāstoñ ko manāzil kiyā gayā
tafsīr matn-e-ḳhauf kī likkhī na jā sakī
vahshat bharā sahīfa jo nāzil kiyā gayā
reg-e-talab ko sat.h-e-qanā.at pe Daal kar
dariyā-e-mumkināt kā sāhil kiyā gayā
lafzoñ kī shakl ḳhuun bahegā tamām umr
maiñ tez dhaar vaqt se ghāyal kiyā gayā
pahle mujhe nisab se ghafil kiya gaya
phir imtihan ke waste qail kiya gaya
sari sipah dusri jaanib chali gai
mujh ko jo mere madd-e-muqabil kiya gaya
phir KHwahishon ko dil ki sifarish pe ek din
KHwabon ki KHanqah mein daKHil kiya gaya
kuchh kashtiyon ne mil ke jazire bana liye
dariya jo sahilon ke mumasil kiya gaya
aainda marhabon se ulajhna nahin kabhi
KHaibar se kya sabaq yahi hasil kiya gaya
shauq-e-safar ke izn-e-junun se milap par
kitne hi raston ko manazil kiya gaya
tafsir matn-e-KHauf ki likkhi na ja saki
wahshat bhara sahifa jo nazil kiya gaya
reg-e-talab ko sath-e-qanaat pe Dal kar
dariya-e-mumkinat ka sahil kiya gaya
lafzon ki shakl KHun bahega tamam umr
main tez dhaar waqt se ghayal kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.