pahle-pahal ghar se nikle ho dhyan rahe
pahle-pahal ghar se nikle ho dhyān rahe
kuchh pardes kī likhnā gar ausān rahe
likhne vaale burā hameñ hī likkheñge
apne shahr meñ ham tere mehmān rahe
dil se terī yaad nikal kar jaa.e kyoñ
ghar se bāhar kyoñ ghar kā sāmān rahe
aisā badla apnā rang samundar ne
kashtiyāñ khene vaale tak hairān rahe
gahrī nīñdeñ laane vaalī havā chalī
saarī raat tirī aahaT par kaan rahe
din meñ jā kar ek nishān lagā aa.uuñ
koī to raat ko us ghar kī pahchān rahe
dil aisā ābād-nagar hai jis meñ 'jamāl'
ga.e huoñ kī yaad sadā mehmān rahe
pahle-pahal ghar se nikle ho dhyan rahe
kuchh pardes ki likhna gar ausan rahe
likhne wale bura hamein hi likkhenge
apne shahr mein hum tere mehman rahe
dil se teri yaad nikal kar jae kyon
ghar se bahar kyon ghar ka saman rahe
aisa badla apna rang samundar ne
kashtiyan khene wale tak hairan rahe
gahri ninden lane wali hawa chali
sari raat teri aahaT par kan rahe
din mein ja kar ek nishan laga aaun
koi to raat ko us ghar ki pahchan rahe
dil aisa aabaad-nagar hai jis mein 'jamal'
gae huon ki yaad sada mehman rahe
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 67)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.