pahle pahle bulaya gaya Dakiya
pahle pahle bulāyā gayā Dākiyā
phir ka.ī baar aaya gayā Dākiyā
kachche rastoñ se niklā to ḳhat gir paḌe
ek patthar se Takrā gayā Dākiyā
log dīvār-o-dar se lipaTne lage
ek din gaañv meñ aa gayā Dākiyā
kachche ghar kī pahuñch se bahut duur thā
bād-o-bārāñ se ghabrā gayā Dākiyā
dil pe dastak sunā.ī na dī phir kabhī
aañkh se duur hotā gayā Dākiyā
haath maltī rahī ḳhvāhish-e-ḳhvāñdagī
jo batāyā vo likhtā gayā Dākiyā
āḳhirī ḳhat liye āḳhirī moḌ par
āḳhirī baar dekhā gayā Dākiyā
pahle pahle bulaya gaya Dakiya
phir kai bar aaya gaya Dakiya
kachche raston se nikla to KHat gir paDe
ek patthar se Takra gaya Dakiya
log diwar-o-dar se lipaTne lage
ek din ganw mein aa gaya Dakiya
kachche ghar ki pahunch se bahut dur tha
baad-o-baran se ghabra gaya Dakiya
dil pe dastak sunai na di phir kabhi
aankh se dur hota gaya Dakiya
hath malti rahi KHwahish-e-KHwandagi
jo bataya wo likhta gaya Dakiya
aaKHiri KHat liye aaKHiri moD par
aaKHiri bar dekha gaya Dakiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.