pahle sahra se mujhe khinch ke laya gaya hai
pahle sahrā se mujhe khīñch ke laayā gayā hai
aur phir shahr meñ le jā ke basāyā gayā hai
yaanī har vaqt hī maujūd vo rahtā hai yahāñ
yaanī vo lauT ke aaya hai to saayā gayā hai
be-sabab rahtā nahīñ hai vo hamesha bechain
us kī marzī ke baġhair us ko banāyā gayā hai
husn-e-ḳhud-ārā kī tasvīr banāne ke liye
rang kuchh merī nazar se bhī churāyā gayā hai
kho gayā huuñ maiñ kahīñ shahr ke shor-o-ġhul meñ
DhūñDne ke liye sahrā ko bulāyā gayā hai
inhīñ atrāf meñ sunte haiñ huā thā vo gum
inhīñ atrāf meñ sunte haiñ vo paayā gayā hai
kis ne sūraj kā safar rok ke rakkhā huā thā
mere āñgan se bahut der meñ saayā gayā hai
pahle sahra se mujhe khinch ke laya gaya hai
aur phir shahr mein le ja ke basaya gaya hai
yani har waqt hi maujud wo rahta hai yahan
yani wo lauT ke aaya hai to saya gaya hai
be-sabab rahta nahin hai wo hamesha bechain
us ki marzi ke baghair us ko banaya gaya hai
husn-e-KHud-ara ki taswir banane ke liye
rang kuchh meri nazar se bhi churaya gaya hai
kho gaya hun main kahin shahr ke shor-o-ghul mein
DhunDne ke liye sahra ko bulaya gaya hai
inhin atraf mein sunte hain hua tha wo gum
inhin atraf mein sunte hain wo paya gaya hai
kis ne suraj ka safar rok ke rakkha hua tha
mere aangan se bahut der mein saya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.