pahle si ab baat kahan hai
pahle sī ab baat kahāñ hai
vo din aur vo raat kahāñ hai
bāteñ jaise patjhaḌ patjhaḌ
sochoñ kī bārāt kahāñ hai
saare mausam ek hue haiñ
vo rut vo barsāt kahāñ hai
us kā chehra jaise sarsoñ
āñkhoñ meñ vo baat kahāñ hai
ik shab maiñ ne hī pūchhā thā
ai rab terī zaat kahāñ hai
qarya qarya jo lahrāyā
vo parcham vo haat kahāñ hai
maiñ bādal tū sahrā 'rizvī'
terā merā saat kahāñ hai
pahle si ab baat kahan hai
wo din aur wo raat kahan hai
baaten jaise patjhaD patjhaD
sochon ki baraat kahan hai
sare mausam ek hue hain
wo rut wo barsat kahan hai
us ka chehra jaise sarson
aankhon mein wo baat kahan hai
ek shab main ne hi puchha tha
ai rab teri zat kahan hai
qarya qarya jo lahraya
wo parcham wo hat kahan hai
main baadal tu sahra 'rizwi'
tera mera sat kahan hai
- Book : Khayaabaan (Pg. 137)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.