pahle si walihana tabiat nahin teri
pahle sī vālihāna tabī'at nahīñ tirī
kyā zindagī se koī shikāyat nahīñ tirī
sultān ho gayā hai zamāne kā tū magar
is dil kī saltanat pe hukūmat nahīñ tirī
bad-qismatī to apnī mire yaar dekh le
us ko milā hai tū jise chāhat nahīñ tirī
itne baḌe jahān meñ ai mere ham-safar
mere sivā kisī ko bhī 'ādat nahīñ tirī
phir 'umr bhar ko āñsuoñ kā silsila chalā
us ne jo kah diyā ki zarūrat nahīñ tirī
pahle si walihana tabi'at nahin teri
kya zindagi se koi shikayat nahin teri
sultan ho gaya hai zamane ka tu magar
is dil ki saltanat pe hukumat nahin teri
bad-qismati to apni mere yar dekh le
us ko mila hai tu jise chahat nahin teri
itne baDe jahan mein ai mere ham-safar
mere siwa kisi ko bhi 'adat nahin teri
phir 'umr bhar ko aansuon ka silsila chala
us ne jo kah diya ki zarurat nahin teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.