pahle tha ashk-bar aaj bhi hai
pahle thā ashk-bār aaj bhī hai
dil merā sogvār aaj bhī hai
maiñ nahīñ huuñ kisī bhī laa.eq par
aap ko e'tibār aaj bhī hai
jo thā pahle vahī hai rishta-e-dil
pyaar vo be-shumār aaj bhī hai
ishq āñkheñ bichhā.e baiThā hai
aap kā intizār aaj bhī hai
laakh duniyā ne toḌnā chāhā
dil se dil kā qarār aaj bhī hai
pahle tha ashk-bar aaj bhi hai
dil mera sogwar aaj bhi hai
main nahin hun kisi bhi laeq par
aap ko e'tibar aaj bhi hai
jo tha pahle wahi hai rishta-e-dil
pyar wo be-shumar aaj bhi hai
ishq aankhen bichhae baiTha hai
aap ka intizar aaj bhi hai
lakh duniya ne toDna chaha
dil se dil ka qarar aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.