pahle tha koi ki thi jis se mohabbat mujhko
pahle thā koī ki thī jis se mohabbat mujh ko
ba-ḳhudā ab to kisī se nahīñ ulfat mujh ko
ḳhūb-rū ab to nazar meñ koī jachtā hī nahīñ
bhā ga.ī jab se tirī sāñvlī sūrat mujh ko
va.ada aane kā hai kal dekho zarā aa jaanā
varna be-chain karegī shab-e-furqat mujh ko
ġhair se aaTh pahar aap milā karte haiñ
hai ye andher dikhāte nahīñ sūrat mujh ko
jab se tārīf maiñ kartā huuñ payambar 'sanjar'
nazar aane lagī in āñkhoñ se jannat mujh ko
pahle tha koi ki thi jis se mohabbat mujh ko
ba-KHuda ab to kisi se nahin ulfat mujh ko
KHub-ru ab to nazar mein koi jachta hi nahin
bha gai jab se teri sanwli surat mujh ko
wada aane ka hai kal dekho zara aa jaana
warna be-chain karegi shab-e-furqat mujh ko
ghair se aaTh pahar aap mila karte hain
hai ye andher dikhate nahin surat mujh ko
jab se tarif main karta hun payambar 'sanjar'
nazar aane lagi in aankhon se jannat mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.