pahle to apne aapko tujh sa kare koi
pahle to apne aap ko tujh sā kare koī
phir mujh se dostī kā irāda kare koī
harkat dil-o-dimāġh meñ paidā kare koī
jo qaum mar chukī use zinda kare koī
sūraj ke saath saath badaltī haiñ apnā ruḳh
parchhā.iyoñ pe kaise bharosā kare koī
ḳhushbū kī tarh bikhrā huā hai fazāoñ meñ
kaise tire vajūd ko yakjā kare koī
ye bulb ye charāġh mire kaam ke nahīñ
kamre meñ muskurā ke ujālā kare koī
dil kā mu'āmla to hai dil kā mu'āmla
kab tak ḳhud apne aap se jhagḌā kare koī
buniyād hī khisakne lage jab makān kī
dīvār-o-dar pe kaise bharosā kare koī
mujh ḳhāksār kā bhalā aisā kahāñ nasīb
do chaar din jo merī tamanna kare koī
ai 'chāñd' ye 'ajūba to hone se ab rahā
aa kar hameñ sameTe ikaTThā kare koī
pahle to apne aap ko tujh sa kare koi
phir mujh se dosti ka irada kare koi
harkat dil-o-dimagh mein paida kare koi
jo qaum mar chuki use zinda kare koi
suraj ke sath sath badalti hain apna ruKH
parchhaiyon pe kaise bharosa kare koi
KHushbu ki tarh bikhra hua hai fazaon mein
kaise tere wajud ko yakja kare koi
ye bulb ye charagh mere kaam ke nahin
kamre mein muskura ke ujala kare koi
dil ka mu'amla to hai dil ka mu'amla
kab tak KHud apne aap se jhagDa kare koi
buniyaad hi khisakne lage jab makan ki
diwar-o-dar pe kaise bharosa kare koi
mujh KHaksar ka bhala aisa kahan nasib
do chaar din jo meri tamanna kare koi
ai 'chand' ye 'ajuba to hone se ab raha
aa kar hamein sameTe ikaTTha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.