pahle to chaak zaKHm-e-jigar dekhte rahe
pahle to chaak zaḳhm-e-jigar dekhte rahe
phir dekhne vāloñ kī nazar dekhte rahe
tham ne kahāñ diyā thā hameñ ḳhvāhishāt ne
ruk ruk ke bāzuoñ kā hunar dekhte rahe
lab par khile hue the tabassum ke phuul par
jo ḳhāk-nazar the vo sharar dekhte rahe
tum ne to zindagī kā safar ḳhatm kar diyā
ham the ki terī rāhguzar dekhte rahe
pahle to ham ne dard ke paude lagā.e ḳhud
phir āñsuon ke barg-o-samar dekhte rahe
āvāz de rahī thī na.ī zindagī hameñ
ham log magar raḳht-e-safar dekhte rahe
pahle to chaak zaKHm-e-jigar dekhte rahe
phir dekhne walon ki nazar dekhte rahe
tham ne kahan diya tha hamein KHwahishat ne
ruk ruk ke bazuon ka hunar dekhte rahe
lab par khile hue the tabassum ke phul par
jo KHak-nazar the wo sharar dekhte rahe
tum ne to zindagi ka safar KHatm kar diya
hum the ki teri rahguzar dekhte rahe
pahle to hum ne dard ke paude lagae KHud
phir aansuon ke barg-o-samar dekhte rahe
aawaz de rahi thi nai zindagi hamein
hum log magar raKHt-e-safar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.