pahle to dard-e-dil ka KHulasa kare koi
pahle to dard-e-dil kā ḳhulāsa kare koī
tab un se sharh-e-hāl-e-tamannā kare koī
dard-e-jigar kā pahle mudāvā kare koī
jab tū masīh hone kā da.avā kare koī
mumkin nahīñ ki safha-e-hastī pe mil sake
mere nishān-e-qabr ko DhūñDhā kare koī
badle na karvaTeñ bhī koī farsh-e-ḳhvāb par
ġham se taḌap taḌap ke saverā kare koī
sunñā hai dard-e-dil kī mire dāstāñ agar
patthar kā pahle apnā kaleja kare koī
shām-e-shab-e-firāq hai tākīd-e-zabt-e-āh
dil meñ uThe jo dard to phir kyā kare koī
ḳhāmosh is tarah se hue sakinān-e-qabr
dete nahīñ javāb pukārā kare koī
'sho.ala' muhāl hai ki baḌhe dil kī raushnī
jab tak ḳhayāl-e-dost na paidā kare koī
pahle to dard-e-dil ka KHulasa kare koi
tab un se sharh-e-haal-e-tamanna kare koi
dard-e-jigar ka pahle mudawa kare koi
jab tu masih hone ka dawa kare koi
mumkin nahin ki safha-e-hasti pe mil sake
mere nishan-e-qabr ko DhunDha kare koi
badle na karwaTen bhi koi farsh-e-KHwab par
gham se taDap taDap ke sawera kare koi
sunna hai dard-e-dil ki mere dastan agar
patthar ka pahle apna kaleja kare koi
sham-e-shab-e-firaq hai takid-e-zabt-e-ah
dil mein uThe jo dard to phir kya kare koi
KHamosh is tarah se hue sakinan-e-qabr
dete nahin jawab pukara kare koi
'shoala' muhaal hai ki baDhe dil ki raushni
jab tak KHayal-e-dost na paida kare koi
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 106)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.