pahle to ghair meri samt se bhar dete hain
pahle to ġhair mirī samt se bhar dete haiñ
phir mujhe sāmne us shoḳh ke kar dete haiñ
dast-e-sā.il kī tarah shāḳheñ baḌhī aatī haiñ
bostāñ meñ tujhe nazreñ gul-e-tar dete haiñ
rāt-bhar chain se so.e jo mire pahlū meñ
gāliyāñ kyoñ vo mujhe vaqt-e-sahar dete haiñ
aur log un se jo milte haiñ to ḳhush rahte haiñ
jānñe vāloñ kā dam naak meñ kar dete haiñ
kyā guzartī hai ḳhudā jaane adam vāloñ par
vaañ se ḳhat bhejte haiñ ye na ḳhabar dete haiñ
bosa māñgo to sahī hazrat-e-'gustāḳh' un se
pahle vo karte haiñ inkār magar dete haiñ
pahle to ghair meri samt se bhar dete hain
phir mujhe samne us shoKH ke kar dete hain
dast-e-sail ki tarah shaKHen baDhi aati hain
bostan mein tujhe nazren gul-e-tar dete hain
raat-bhar chain se soe jo mere pahlu mein
galiyan kyon wo mujhe waqt-e-sahar dete hain
aur log un se jo milte hain to KHush rahte hain
jaanne walon ka dam nak mein kar dete hain
kya guzarti hai KHuda jaane adam walon par
wan se KHat bhejte hain ye na KHabar dete hain
bosa mango to sahi hazrat-e-'gustaKH' un se
pahle wo karte hain inkar magar dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.