pahle to kabhi waqt ye hum par nahin aaya
pahle to kabhī vaqt ye ham par nahīñ aayā
ham chalte rahe chalte rahe ghar nahīñ aayā
sūraj kī hai be-ḳhabarī ki mausam kī sharārat
kyoñ saaya mire qad ke barābar nahīñ aayā
kyā log the bastī meñ ki jaltī rahī bastī
aur ghar se nikal kar koī bāhar nahīñ aayā
kyoñ valvale mahdūd hue lafz-o-bayāñ tak
kyoñ daar talak koī qad-āvar nahīñ aayā
is baar bhī kyā yūñhī guzar jā.egā sāvan
is baar bhī to peḌ pe patthar nahīñ aayā
pahle to kabhi waqt ye hum par nahin aaya
hum chalte rahe chalte rahe ghar nahin aaya
suraj ki hai be-KHabari ki mausam ki shararat
kyon saya mere qad ke barabar nahin aaya
kya log the basti mein ki jalti rahi basti
aur ghar se nikal kar koi bahar nahin aaya
kyon walwale mahdud hue lafz-o-bayan tak
kyon dar talak koi qad-awar nahin aaya
is bar bhi kya yunhi guzar jaega sawan
is bar bhi to peD pe patthar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.