pahle to majburi paida hoti hai
pahle to majbūrī paidā hotī hai
phir rishtoñ meñ duurī paidā hotī hai
ġham se aksar dil murda ho jaate haiñ
chehre pe be-nūrī paidā hotī hai
vahshat se insāñ meñ shiddat baḌhtī hai
aahū meñ kastūrī paidā hotī hai
merī kāvish us ko puurā kartī hai
varna ġhazal adhūrī paidā hotī hai
'aql kī har dam sunñe se 'me.arāj'-miyāñ
jazboñ meñ ma.azūrī paidā hotī hai
pahle to majburi paida hoti hai
phir rishton mein duri paida hoti hai
gham se aksar dil murda ho jate hain
chehre pe be-nuri paida hoti hai
wahshat se insan mein shiddat baDhti hai
aahu mein kasturi paida hoti hai
meri kawish us ko pura karti hai
warna ghazal adhuri paida hoti hai
'aql ki har dam sunne se 'mearaj'-miyan
jazbon mein mazuri paida hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.