pahle to mujh mein hashr bapa kar diya gaya
pahle to mujh meñ hashr bapā kar diyā gayā
aur phir badan ko nazr-e-sabā kar diyā gayā
kāñToñ kī baaḌ par thā gulāboñ kā pairāhan
phūloñ ko ḳhār-o-ḳhas kī qabā kar diyā gayā
māñgī jo maiñ ne vasl kī lazzat to ye kahā
ki tujh ko dard-e-hijr atā kar diyā gayā
jab jab use pukārā kaḌī dhuup meñ lagā
saaya sā jaise mujh pe ghanā kar diyā gayā
ik baar hī to chamkā thā mujh meñ tirā vajūd
phir aks terā mujh se judā kar diyā gayā
kyā phir havā-e-marg chalī hai dayār meñ
kyā shahr-e-ārzū ko fanā kar diyā gayā
jaanā thā lā-makāñ kī mujhe sair ko 'sahar'
achchhā huā badan se rihā kar diyā gayā
pahle to mujh mein hashr bapa kar diya gaya
aur phir badan ko nazr-e-saba kar diya gaya
kanTon ki baD par tha gulabon ka pairahan
phulon ko KHar-o-KHas ki qaba kar diya gaya
mangi jo main ne wasl ki lazzat to ye kaha
ki tujh ko dard-e-hijr ata kar diya gaya
jab jab use pukara kaDi dhup mein laga
saya sa jaise mujh pe ghana kar diya gaya
ek bar hi to chamka tha mujh mein tera wajud
phir aks tera mujh se juda kar diya gaya
kya phir hawa-e-marg chali hai dayar mein
kya shahr-e-arzu ko fana kar diya gaya
jaana tha la-makan ki mujhe sair ko 'sahar'
achchha hua badan se riha kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.