pahle to na thi itni tab-o-tab ghazal mein
pahle to na thī itnī tab-o-tāb ġhazal meñ
kaam aa ga.ī ġham-ḳhvārī-e-ahbāb ġhazal meñ
dil par se tire ġham kā abhī abr chhaTā hai
chamkā hai tirī yaad kā mahtāb ġhazal meñ
yāroñ ko kisī taur bhī nashsha nahīñ hotā
jab tak ki na shāmil ho mai-e-nāb ġhazal meñ
jis se ḳhalish-e-dard kā āġhāz huā hai
raqsāñ hai vahī paikar-e-sīmāb ġhazal meñ
har misra-e-tar taḳhta-e-gulzār kī sūrat
rañgoñ kī hai ik vādī-e-shādāb ġhazal meñ
go dard ke iz.hār kī aadat to nahīñ thī
piinā hī paḌā ham ko ye zahr-āb ġhazal meñ
asnāf-e-suḳhan aur bhī ai dost bahut haiñ
rañgīñ hai mirī ziist kā har baab ġhazal meñ
pahle to na thi itni tab-o-tab ghazal mein
kaam aa gai gham-KHwari-e-ahbab ghazal mein
dil par se tere gham ka abhi abr chhaTa hai
chamka hai teri yaad ka mahtab ghazal mein
yaron ko kisi taur bhi nashsha nahin hota
jab tak ki na shamil ho mai-e-nab ghazal mein
jis se KHalish-e-dard ka aaghaz hua hai
raqsan hai wahi paikar-e-simab ghazal mein
har misra-e-tar taKHta-e-gulzar ki surat
rangon ki hai ek wadi-e-shadab ghazal mein
go dard ke izhaar ki aadat to nahin thi
pina hi paDa hum ko ye zahr-ab ghazal mein
asnaf-e-suKHan aur bhi ai dost bahut hain
rangin hai meri zist ka har bab ghazal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.