pahle to rasm-o-rah baDhata chala gaya
pahle to rasm-o-rāh baḌhātā chalā gayā
phir aa.ine se jaan chhuḌātā chalā gayā
kal to havā kī ek bhī chalne na dī ga.ī
kuchh ism paḌh ke diip jalātā chalā gayā
hālāñki ab kī baar bahut musta’id thā maiñ
lekin vo ḳhvāb ḳhvāb dikhātā chalā gayā
ye vasf nāgavār hai us ke ḳhayāl kā
aayā jo ek baar to aatā chalā gayā
pahle to ik tavīl ġhazal likh ke phaaḌ dī
phir us kā jashn-o-sog manātā chalā gayā
ḳhud ko girā girā ke uThāyā gayā bahut
ḳhud ko uThā uThā ke girātā chalā gayā
dariyā ko ek ghūñT meñ piine kī chaah thī
'tāsif' ḳhud apnī pyaas baḌhātā chalā gayā
pahle to rasm-o-rah baDhata chala gaya
phir aaine se jaan chhuData chala gaya
kal to hawa ki ek bhi chalne na di gai
kuchh ism paDh ke dip jalata chala gaya
haalanki ab ki bar bahut musta’id tha main
lekin wo KHwab KHwab dikhata chala gaya
ye wasf nagawar hai us ke KHayal ka
aaya jo ek bar to aata chala gaya
pahle to ek tawil ghazal likh ke phaD di
phir us ka jashn-o-sog manata chala gaya
KHud ko gira gira ke uThaya gaya bahut
KHud ko uTha uTha ke giraata chala gaya
dariya ko ek ghunT mein pine ki chah thi
'tasif' KHud apni pyas baDhata chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.