pahle to ye laga mujhe us par gir gai
pahle to ye lagā mujhe us paar gir ga.ī
phir yuuñ huā ki mujh pe hī dīvār gir ga.ī
sīñchā lahū se us kā dil-e-dāġh-dār aur
mere badan meñ ḳhuun kī miqdār gir ga.ī
hone lagī hai barq se merī mumāsalat
kuchh is lihāz se mirī raftār gir ga.ī
us kī nigāh-e-nāz se lashkar bhī kaT ga.e
phir kyā ki mere haath se talvār gir ga.ī
phir zindagī kī mauj se kashtī huī tabāh
jab dast-e-nā-rasā.ī se patvār gir ga.ī
maiñ bhī mire nizām se uupar chalā gayā
vo bhī had-e-nizām se bekār gir ga.ī
pahle to ye laga mujhe us par gir gai
phir yun hua ki mujh pe hi diwar gir gai
sincha lahu se us ka dil-e-dagh-dar aur
mere badan mein KHun ki miqdar gir gai
hone lagi hai barq se meri mumasalat
kuchh is lihaz se meri raftar gir gai
us ki nigah-e-naz se lashkar bhi kaT gae
phir kya ki mere hath se talwar gir gai
phir zindagi ki mauj se kashti hui tabah
jab dast-e-na-rasai se patwar gir gai
main bhi mere nizam se upar chala gaya
wo bhi had-e-nizam se bekar gir gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.