pahle zara muhasba-e-zat bhi to ho
pahle zarā muhāsba-e-zāt bhī to ho
duniyā paḌī hai ghar se shurūāt bhī to ho
samjhe haiñ sab anā ke dhuñdalke ko raushnī
sham.eñ kahāñ jalā.ūñ kahīñ raat bhī to ho
pinhāñ hai āñsuoñ meñ surāġh-e-shaguft-e-gul
sahrā-e-be-zamīr meñ barsāt bhī to ho
ik mas.ale ke baa'd nayā mas.ala hai roz
kuchh mo'atabar ye gardish-e-hālāt bhī to ho
chehre se dil kā haal paḌheñ aur ro bhī leñ
jis se mile haiñ us se mulāqāt bhī to ho
mushkil nahīñ havāoñ meñ jalne lageñ charāġh
shab-zād rāstoñ meñ tirā saath bhī to ho
maiñ tabsira karūñ na ḳhudā kī zamīn par
Thokar lage binā guzar-auqāt bhī to ho
lamhoñ kī muTThiyoñ meñ hai sadiyoñ kī raushnī
lekin nazar meñ vaqt kī auqāt bhī to ho
pahle zara muhasba-e-zat bhi to ho
duniya paDi hai ghar se shuruat bhi to ho
samjhe hain sab ana ke dhundalke ko raushni
shamen kahan jalaun kahin raat bhi to ho
pinhan hai aansuon mein suragh-e-shaguft-e-gul
sahra-e-be-zamir mein barsat bhi to ho
ek masale ke ba'd naya masala hai roz
kuchh mo'atabar ye gardish-e-haalat bhi to ho
chehre se dil ka haal paDhen aur ro bhi len
jis se mile hain us se mulaqat bhi to ho
mushkil nahin hawaon mein jalne lagen charagh
shab-zad raston mein tera sath bhi to ho
main tabsira karun na KHuda ki zamin par
Thokar lage bina guzar-auqat bhi to ho
lamhon ki muTThiyon mein hai sadiyon ki raushni
lekin nazar mein waqt ki auqat bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.