pahli barsat ki ghaTa chhai
pahlī barsāt kī ghaTā chhā.ī
aaj khiḌkī se kuchh havā aa.ī
apnī kuTiyā meñ roz-e-mātam hai
un ke koThe pe roz-e-shahnā.ī
lū ke mausam pe fat.h pā.egī
ik na ik din zarūr purvā.ī
us kī pāzeb kī sadā sun kar
gungunātī huī sabā aa.ī
ik taraf ḳhāk-o-ḳhūn kā aalam
ik taraf aish meñ hai dārā.ī
shab meñ jab us ko ḳhvāb meñ dekhā
baḌh ga.ī sub.h merī bīnā.ī
pahli barsat ki ghaTa chhai
aaj khiDki se kuchh hawa aai
apni kuTiya mein roz-e-matam hai
un ke koThe pe roz-e-shahnai
lu ke mausam pe fath paegi
ek na ek din zarur purwai
us ki pazeb ki sada sun kar
gungunati hui saba aai
ek taraf KHak-o-KHun ka aalam
ek taraf aish mein hai darai
shab mein jab us ko KHwab mein dekha
baDh gai subh meri binai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.