pahli nazar mein hi meri nas-nas mein rach gaya
pahli nazar mein hi meri nas-nas mein rach gaya
Kaif Ahmed Siddiqui
MORE BYKaif Ahmed Siddiqui
pahlī nazar meñ hī mirī nas-nas meñ rach gayā
kyā jaane us kā kaun sā andāz jach gayā
ḳhush-fahmiyoñ ke ā.ina-ḳhānoñ meñ ab abhī
vo kaun hai jo sang-e-malāmat se bach gayā
TuuTā kab aa.ina ye kisī ko ḳhabar nahīñ
lekin shikast-e-aks se ik shor mach gayā
saare usuul muhr-ba-lab dekhte rahe
jab jhuuT kī panāh meñ har ek bach gayā
ik khurdurī fasīl-e-shab-e-ḳhvāb-zār se
phislā jo āftāb to chehra khurach gayā
kuchh is qadar shadīd thā tūfān-e-tez-rau
gahre samundaroñ kā bhī paanī ulach gayā
jis kī na taab lā sake zahrīle saañp bhī
kis tarah tujh ko 'kaif' vo zahrāb pach gayā
pahli nazar mein hi meri nas-nas mein rach gaya
kya jaane us ka kaun sa andaz jach gaya
KHush-fahmiyon ke aaina-KHanon mein ab abhi
wo kaun hai jo sang-e-malamat se bach gaya
TuTa kab aaina ye kisi ko KHabar nahin
lekin shikast-e-aks se ek shor mach gaya
sare usul muhr-ba-lab dekhte rahe
jab jhuT ki panah mein har ek bach gaya
ek khurduri fasil-e-shab-e-KHwab-zar se
phisla jo aaftab to chehra khurach gaya
kuchh is qadar shadid tha tufan-e-tez-rau
gahre samundaron ka bhi pani ulach gaya
jis ki na tab la sake zahrile sanp bhi
kis tarah tujh ko 'kaif' wo zahrab pach gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.