pahli nigah mein hi wo dil mein utar gaya
pahlī nigāh meñ hī vo dil meñ utar gayā
phir us ke ba.ad dil meñ jo kuchh thā bikhar gayā
ma.alūm to karo vo parī-zād kaun hai
ā.īna jis ko dekh ke itnā nikhar gayā
vo shaḳhs jis pe maiñ ne luTā dī hai zindagī
mehmān ghaḌī bhar kā thā jaane kidhar gayā
phir us ke ba.ad kyā huā kyā kyā nahīñ huā
bas tum kisī ke ho ga.e aur maiñ bikhar gayā
ye bhī na dastaras meñ thā vo bhī na thā mirā
qaabū se dil kabhī to kabhī phir jigar gayā
zālim hai tāza-dam maiñ pashemān huuñ bahut
mere lahū ke qatroñ se zālim nikhar gayā
'faisal' hai ḳhauf ḳhud mujhe aise patā chalā
dekhā jo ā.īna to maiñ ḳhud se hī Dar gayā
pahli nigah mein hi wo dil mein utar gaya
phir us ke baad dil mein jo kuchh tha bikhar gaya
malum to karo wo pari-zad kaun hai
aaina jis ko dekh ke itna nikhar gaya
wo shaKHs jis pe main ne luTa di hai zindagi
mehman ghaDi bhar ka tha jaane kidhar gaya
phir us ke baad kya hua kya kya nahin hua
bas tum kisi ke ho gae aur main bikhar gaya
ye bhi na dastaras mein tha wo bhi na tha mera
qabu se dil kabhi to kabhi phir jigar gaya
zalim hai taza-dam main pasheman hun bahut
mere lahu ke qatron se zalim nikhar gaya
'faisal' hai KHauf KHud mujhe aise pata chala
dekha jo aaina to main KHud se hi Dar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.