Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat

Talib Baghpati

pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat

Talib Baghpati

MORE BYTalib Baghpati

    pahlī pahlī vo mulāqāt vo barsāt raat

    yaad hai yaad hai vo sharm-o-hijābāt raat

    vo lagāvaT se hama shikve-shikāyāt raat

    vo tire sāya-e-gesū meñ hikāyāt raat

    Dol par chāñd hare khet fazā.eñ ḳhāmosh

    kaisī ma.asūm havā kartī hai dehāt raat

    hashr roz kabhī ḳhatm to hogā zāhid

    aa.egī aa.egī zālim ye ḳharābāt raat

    ek jannat ke liye itnā alam shaiḳh-e-haram

    kaash hotī tirī qismat meñ ḳharābāt raat

    inqalāb aisā bhī mumkin hai palaT de taqdīr

    dūsrī baar mirī pahlī mulāqāt raat

    ruuh pāband-e-anāsir hai bas itnī 'tālib'

    jaise mehmān musāfir ho koī raat raat

    pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat

    yaad hai yaad hai wo sharm-o-hijabaat ki raat

    wo lagawaT se hama shikwe-shikayat ki raat

    wo tere saya-e-gesu mein hikayat ki raat

    Dol par chand hare khet fazaen KHamosh

    kaisi masum hawa karti hai dehat ki raat

    hashr ka roz kabhi KHatm to hoga zahid

    aaegi aaegi zalim ye KHarabaat ki raat

    ek jannat ke liye itna alam shaiKH-e-haram

    kash hoti teri qismat mein KHarabaat ki raat

    inqalab aisa bhi mumkin hai palaT de taqdir

    dusri bar meri pahli mulaqat ki raat

    ruh paband-e-anasir hai bas itni 'talib'

    jaise mehman musafir ho koi raat ki raat

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now