pahli si ab wo shoKHi guftar bhi nahin
pahlī sī ab vo shoḳhī guftār bhī nahīñ
muddat se zauq-e-naġhma-o-ash.ār bhī nahīñ
suunī paḌī hai manzil-e-dīvāngī-e-ishq
kyā ho gayā ki koī sar-e-dār bhī nahīñ
vaa.iz sharāb-noshī ke behad ḳhilāf haiñ
mil jaa.e muft kī to kuchh inkār bhī nahīñ
vo sāmne jo aa.e to nazreñ na uTh sakīñ
ab mujh meñ jaise tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
kab hogī ḳhatm 'tāhira' shām-e-ġham-e-hayāt
ab tak numūd-e-sub.h ke āsār bhī nahīñ
pahli si ab wo shoKHi guftar bhi nahin
muddat se zauq-e-naghma-o-ashaar bhi nahin
suni paDi hai manzil-e-diwangi-e-ishq
kya ho gaya ki koi sar-e-dar bhi nahin
waiz sharab-noshi ke behad KHilaf hain
mil jae muft ki to kuchh inkar bhi nahin
wo samne jo aae to nazren na uTh sakin
ab mujh mein jaise taqat-e-didar bhi nahin
kab hogi KHatm 'tahira' sham-e-gham-e-hayat
ab tak numud-e-subh ke aasar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.