pahli si mujh pe chashm-e-inayat nahin rahi
pahlī sī mujh pe chashm-e-ināyat nahīñ rahī
shāyad ab is ko merī zarūrat nahīñ rahī
be-vaj.h kaaT detā hai merī har ek baat
us kī nazar meñ ab mirī qīmat nahīñ rahī
mujh se gurez karne lagā jab se merā yaar
mujh ko bhī us se milne kī ujlat nahīñ rahī
vo bevafā nahīñ ye mujhe hai yaqīñ magar
ab e'tibār karne kī himmat nahīñ rahī
jin se mile haiñ zaḳhm unheñ bhī duā.eñ deñ
dil meñ mire kisī se kudūrat nahīñ rahī
be-samt ho ke rah ga.ī bachchoñ kī zindagī
maañ baap kī jo yaad nasīhat nahīñ rahī
'fārūq' sar pe saaya hai maañ kī duāoñ kā
tā-hāl mujh pe koī musībat nahīñ rahī
pahli si mujh pe chashm-e-inayat nahin rahi
shayad ab is ko meri zarurat nahin rahi
be-wajh kaT deta hai meri har ek baat
us ki nazar mein ab meri qimat nahin rahi
mujh se gurez karne laga jab se mera yar
mujh ko bhi us se milne ki ujlat nahin rahi
wo bewafa nahin ye mujhe hai yaqin magar
ab e'tibar karne ki himmat nahin rahi
jin se mile hain zaKHm unhen bhi duaen den
dil mein mere kisi se kudurat nahin rahi
be-samt ho ke rah gai bachchon ki zindagi
man bap ki jo yaad nasihat nahin rahi
'faruq' sar pe saya hai man ki duaon ka
ta-haal mujh pe koi musibat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.