pahli tariKH hai mahine ki
pahlī tārīḳh hai mahīne kī
phir vahī baat marne jiine kī
ik parinde kā bojh hai sar par
laaj rakhnā mire safīne kī
nanhe bachchoñ ke jism meñ ḳhushbū
būḌhe mazdūr ke pasīne kī
ham ko 'ādat sī paḌ chukī hai ab
bhuuk khāne kī pyaas piine kī
tohmateñ āsmān chhūne lagīñ
pahlī sīḌhī hai mere ziine kī
ehtiyāt-e-nazar se Tuut ga.ī
kahkashāñ dil ke ābgīne kī
ai ḳhudā ḳhair-o-‘āfiyat rakhnā
rasm niklī hai hoñT siine kī
pahli tariKH hai mahine ki
phir wahi baat marne jine ki
ek parinde ka bojh hai sar par
laj rakhna mere safine ki
nanhe bachchon ke jism mein KHushbu
buDhe mazdur ke pasine ki
hum ko 'adat si paD chuki hai ab
bhuk khane ki pyas pine ki
tohmaten aasman chhune lagin
pahli siDhi hai mere zine ki
ehtiyat-e-nazar se Tut gai
kahkashan dil ke aabgine ki
ai KHuda KHair-o-‘afiyat rakhna
rasm nikli hai honT sine ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.