pahlu mein dil hai dard ki duniya kahen jise
pahlū meñ dil hai dard kī duniyā kaheñ jise
par is qadar ujaaḌ ki sahrā kaheñ jise
vo ro.ab-e-husn thā ki ban aa.ī na ham se baat
yuuñ hāl-e-dil kahā ki na kahnā kaheñ jise
āñkhoñ se dekhne ko to ab bhī haiñ dekhte
thī aur chiiz zauq-e-tamāshā kaheñ jise
mānind-e-māh us kā falak par dimāġh ho
jhūToñ bhī tāb-e-husn meñ tum sā kaheñ jise
sab aap ke taġhāful-o-jaur-o-jafā bajā
hai ek apnā shikva ki be-jā kaheñ jise
zauq-e-suḳhan ke din bhī the shāyad vahī ki jab
dil meñ kasak thī dard-e-tamannā kaheñ jise
'mahrūm' shā.iroñ meñ bahut nāmvar nahīñ
itnā zarūr hai ki sab achchhā kaheñ jise
pahlu mein dil hai dard ki duniya kahen jise
par is qadar ujaD ki sahra kahen jise
wo roab-e-husn tha ki ban aai na hum se baat
yun haal-e-dil kaha ki na kahna kahen jise
aankhon se dekhne ko to ab bhi hain dekhte
thi aur chiz zauq-e-tamasha kahen jise
manind-e-mah us ka falak par dimagh ho
jhuTon bhi tab-e-husn mein tum sa kahen jise
sab aap ke taghaful-o-jaur-o-jafa baja
hai ek apna shikwa ki be-ja kahen jise
zauq-e-suKHan ke din bhi the shayad wahi ki jab
dil mein kasak thi dard-e-tamanna kahen jise
'mahrum' shairon mein bahut namwar nahin
itna zarur hai ki sab achchha kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.