pahlu na dukhega to guzara nahin hoga
pahlū na dukhegā to guzārā nahīñ hogā
ham sā bhī koī dard kā maarā nahīñ hogā
har she'r hai tasvīr mire zaḳhm-e-jigar kī
haañ dekh ki phir aisā nazārā nahīñ hogā
tū sab kī sune hai kabhī merī bhī ġhazal sun
phir aisā ḳhush-uslūb dobārā nahīñ hogā
jis dard se ham tujh ko diyā karte haiñ āvāz
bulbul ne bhī yuuñ gul ko pukārā nahīñ hogā
kal hogī agar aaj pareshāñ nahīñ hogī
vo zulf jise ham ne sañvārā nahīñ hogā
shamshīr kabhī vaqt kī chal hī nahīñ saktī
jab tak tirī chitvan kā ishārā nahīñ hogā
jab tark-e-ta'alluq kā sitam jhel chuke ham
phir kaun sā ġham hai jo gavārā nahīñ hogā
duniyā meñ mirī jaan ke dushman to bahut haiñ
tum jaise ho aisā koī pyārā nahīñ hogā
ham ko koī ummīd zamāne se nahīñ hai
jo terā huā hai vo hamārā nahīñ hogā
pahlu na dukhega to guzara nahin hoga
hum sa bhi koi dard ka mara nahin hoga
har she'r hai taswir mere zaKHm-e-jigar ki
han dekh ki phir aisa nazara nahin hoga
tu sab ki sune hai kabhi meri bhi ghazal sun
phir aisa KHush-uslub dobara nahin hoga
jis dard se hum tujh ko diya karte hain aawaz
bulbul ne bhi yun gul ko pukara nahin hoga
kal hogi agar aaj pareshan nahin hogi
wo zulf jise hum ne sanwara nahin hoga
shamshir kabhi waqt ki chal hi nahin sakti
jab tak teri chitwan ka ishaara nahin hoga
jab tark-e-ta'alluq ka sitam jhel chuke hum
phir kaun sa gham hai jo gawara nahin hoga
duniya mein meri jaan ke dushman to bahut hain
tum jaise ho aisa koi pyara nahin hoga
hum ko koi ummid zamane se nahin hai
jo tera hua hai wo hamara nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.