pahna bhi kuchh zamane ne aisa libas hai
pahnā bhī kuchh zamāne ne aisā libās hai
māhaul pe zamāne ke ġhairat udaas hai
vo bhuul jaa.eñ ham ko to hai un kā zarf ye
ham ko to ab bhī un kī mohabbat kā paas hai
chehre se apne zulf haTā dījiye zarā
betāb dil hai diid kī āñkhoñ ko pyaas hai
ab to tumhāre ġham ke sahāre hai zindagī
ham ko ḳhushī zamāne kī aa.ī na raas hai
dil toḌne se pahle zarā ye bhī sochiye
har lamha maut zindagī ke aas paas hai
samjhegā 'rāz' kaun yahāñ tere dard ko
kis kī nigāh itnī qayāfa-shanās hai
pahna bhi kuchh zamane ne aisa libas hai
mahaul pe zamane ke ghairat udas hai
wo bhul jaen hum ko to hai un ka zarf ye
hum ko to ab bhi un ki mohabbat ka pas hai
chehre se apne zulf haTa dijiye zara
betab dil hai did ki aankhon ko pyas hai
ab to tumhaare gham ke sahaare hai zindagi
hum ko KHushi zamane ki aai na ras hai
dil toDne se pahle zara ye bhi sochiye
har lamha maut zindagi ke aas pas hai
samjhega 'raaz' kaun yahan tere dard ko
kis ki nigah itni qayafa-shanas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.