Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahna ho bar mein jama mera gul-ezar surKH

Fattavat Aurangabadi

pahna ho bar mein jama mera gul-ezar surKH

Fattavat Aurangabadi

MORE BYFattavat Aurangabadi

    pahnā ho bar meñ jaama mirā gul-ezār surḳh

    aa.ī hai kyā maze se chaman meñ bahār surḳh

    jab se girā hai ḳhuun shahīdāñ ḳhaak par

    tab se huā hai josh-e-gul-e-lāla-zār surḳh

    maiñ ḳhvāb meñ huā huuñ ham-āġhosh-e-gul-badan

    kyā dekhtā huuñ sub.h ko haigā kanār surḳh

    yaañ lag bahe hai ḳhuun mire ashk-e-chashm se

    bahte haiñ ab ke saal meñ sab jūebār surḳh

    maqtūl jo ki dast-e-hinā-band se huā

    rakhtā bajā hai qabr pe sang-e-mazār surḳh

    gul ḳhajil ho rang pasīne meñ bah gayā

    gul-rū ke aks-e-ruḳh se haiñ ab ābshār surḳh

    ḳhūn-e-jigar haal 'fatavvat' maiñ jab likhā

    mistar ho gayā hai har ik taar taar surḳh

    pahna ho bar mein jama mera gul-ezar surKH

    aai hai kya maze se chaman mein bahaar surKH

    jab se gira hai KHun shahidan ka KHak par

    tab se hua hai josh-e-gul-e-lala-zar surKH

    main KHwab mein hua hun ham-aghosh-e-gul-badan

    kya dekhta hun subh ko haiga kanar surKH

    yan lag bahe hai KHun mere ashk-e-chashm se

    bahte hain ab ke sal mein sab juebar surKH

    maqtul jo ki dast-e-hina-band se hua

    rakhta baja hai qabr pe sang-e-mazar surKH

    gul ka KHajil ho rang pasine mein bah gaya

    gul-ru ke aks-e-ruKH se hain ab aabshaar surKH

    KHun-e-jigar ka haal 'fatawwat' main jab likha

    mistar ka ho gaya hai har ek tar tar surKH

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now