pahna libas ne hai ek ik ang dekhna
pahnā libās ne hai ik ik ang dekhnā
jism-e-hasīñ pe pairahan-e-tang dekhnā
naddī chaḌhī ki gaañv kī gorī javāñ huī
paanī meñ ghul ga.e haiñ ka.ī rang dekhnā
parbat kī shaam Dūbtā sūraj shafaq kā rang
sonā ugal rahī hai rag-e-sang dekhnā
jaatī rutoñ kī sūrat-e-arzañg bhuul kar
aate samay kā paikar-e-sad-rang dekhnā
aahaT suno havāoñ kī dahlīz-e-shām par
chup kī fazāoñ meñ bhī hai āhang dekhnā
dilchasp is qadar tire chehre kī hai kitāb
bhūlā huā huuñ dahr kī farhang dekhnā
bastī meñ kaun aa gayā jangal ko chhoḌ kar
pīchhe lage hue haiñ sag-o-sang dekhnā
pahna libas ne hai ek ek ang dekhna
jism-e-hasin pe pairahan-e-tang dekhna
naddi chaDhi ki ganw ki gori jawan hui
pani mein ghul gae hain kai rang dekhna
parbat ki sham Dubta suraj shafaq ka rang
sona ugal rahi hai rag-e-sang dekhna
jati ruton ki surat-e-arzang bhul kar
aate samay ka paikar-e-sad-rang dekhna
aahaT suno hawaon ki dahliz-e-sham par
chup ki fazaon mein bhi hai aahang dekhna
dilchasp is qadar tere chehre ki hai kitab
bhula hua hun dahr ki farhang dekhna
basti mein kaun aa gaya jangal ko chhoD kar
pichhe lage hue hain sag-o-sang dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.