pahne kapDe sunahre chamakti hui
pahne kapḌe sunahre chamaktī huī
dhuup aa.ī mire ghar jhijaktī huī
phuul sā ik lifāfa mere naam kā
ek chiTThī thī us meñ mahaktī huī
pul ke mehrāb bhī Duube the paanī meñ
bah rahī thī nadī bhī lachaktī huī
maiñ ne mahsūs kī hai mere haath se
raat resham kī tarah saraktī huī
aaj phir ruuTh ke lauT jā.egī ghar
ek laḌkī mirī raah taktī huī
der tak shaam parvat pe baiThī rahī
ghuTnoñ meñ muñh chhupā.e subuktī huī
shāḳh se toḌ legā koī khilte hī
har kalī Dar rahī hai chaTaktī huī
yaad chuntī rahī biite pal raat bhar
chāñd ke jangaloñ meñ bhaTaktī huī
pahne kapDe sunahre chamakti hui
dhup aai mere ghar jhijakti hui
phul sa ek lifafa mere nam ka
ek chiTThi thi us mein mahakti hui
pul ke mehrab bhi Dube the pani mein
bah rahi thi nadi bhi lachakti hui
main ne mahsus ki hai mere hath se
raat resham ki tarah sarakti hui
aaj phir ruTh ke lauT jaegi ghar
ek laDki meri rah takti hui
der tak sham parwat pe baiThi rahi
ghuTnon mein munh chhupae subukti hui
shaKH se toD lega koi khilte hi
har kali Dar rahi hai chaTakti hui
yaad chunti rahi bite pal raat bhar
chand ke jangalon mein bhaTakti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.