pahron baiTha ye sochta hun
pahroñ baiThā ye sochtā huuñ
maiñ bhī kisī dard kī davā huuñ
sīmāb nahīñ magar huuñ muztar
mahshar nahīñ phir bhī maiñ bapā huuñ
soī huī qaum kā huuñ rahbar
sote meñ azaan de rahā huuñ
pahle guzrā hai mujh se farhād
yuuñ kah do mujhe ki dūsrā huuñ
rasta sunsān ho na jaa.e
maiñ is liye kāñTe bo rahā huuñ
jag biit chuke magar abhī tak
ḳhud apnī talāsh meñ lagā huuñ
kaun us ko sune sivā.e mere
maiñ apnī shikast kī sadā huuñ
har shaḳhs mujh ko dekhtā hai
duniyā bhar kā maiñ mājrā huuñ
koī to mile ḳhushī kā sāthī
ā.īne meñ muskurā rahā huuñ
hai chashm-ba-rāh kaun merā
yārab maiñ kis kā aasrā huuñ
jab dekhiye jal rahā huuñ 'arshī'
kyā maiñ kisī laakh kā diyā huuñ
pahron baiTha ye sochta hun
main bhi kisi dard ki dawa hun
simab nahin magar hun muztar
mahshar nahin phir bhi main bapa hun
soi hui qaum ka hun rahbar
sote mein azan de raha hun
pahle guzra hai mujh se farhad
yun kah do mujhe ki dusra hun
rasta sunsan ho na jae
main is liye kanTe bo raha hun
jag bit chuke magar abhi tak
KHud apni talash mein laga hun
kaun us ko sune siwae mere
main apni shikast ki sada hun
har shaKHs mujh ko dekhta hai
duniya bhar ka main majra hun
koi to mile KHushi ka sathi
aaine mein muskura raha hun
hai chashm-ba-rah kaun mera
yarab main kis ka aasra hun
jab dekhiye jal raha hun 'arshi'
kya main kisi lakh ka diya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.