pahunch gaya jo tasawwur kisi ki mahfil tak
pahuñch gayā jo tasavvur kisī kī mahfil tak
charāġh jal ga.e goyā nigāh se dil tak
vo ajnabī sī nigāheñ utar ga.iiñ dil tak
musāfir aa ga.e bhūle se apnī manzil tak
hujūm-e-hasrat-o-armāñ kā zikr aur dil tak
pahuñch sakā na koī apne saath manzil tak
duā milī thī tabāhī kī jin safīnoñ ko
vo lauT aa.e haiñ tūfāñ ko le ke sāhil tak
vo jin kā rāh-numāoñ ne saath chhoḌ diyā
pahuñch ga.e ġham-e-manzil ko le ke manzil tak
bahut tavīl nahīñ phir bhī ai tajallī-e-dost
hazār moḌ mileñge nigāh se dil tak
tafakkurāt ulajhte rahe dimāġhoñ se
nazar bachā ke mohabbat pahuñch ga.ī dil tak
pahunch gaya jo tasawwur kisi ki mahfil tak
charagh jal gae goya nigah se dil tak
wo ajnabi si nigahen utar gain dil tak
musafir aa gae bhule se apni manzil tak
hujum-e-hasrat-o-arman ka zikr aur dil tak
pahunch saka na koi apne sath manzil tak
dua mili thi tabahi ki jin safinon ko
wo lauT aae hain tufan ko le ke sahil tak
wo jin ka rah-numaon ne sath chhoD diya
pahunch gae gham-e-manzil ko le ke manzil tak
bahut tawil nahin phir bhi ai tajalli-e-dost
hazar moD milenge nigah se dil tak
tafakkuraat ulajhte rahe dimaghon se
nazar bacha ke mohabbat pahunch gai dil tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.