pahuncha diya umid ko tufan-e-yas tak
pahuñchā diyā umiid ko tūfān-e-yās tak
bujhne na dī furāt ne bachchoñ kī pyaas tak
pahle to dastaras thī shajar ke libās tak
lekin ḳhizāñ ne noch liyā sab kā maas tak
chhiḌkā gayā hai zahr daraḳhtoñ pe is qadar
talḳhī meñ Dhal ga.ī hai phaloñ kī miThās tak
is baar bhī libās ko tarseñgī chunniyāñ
ye raunaqeñ haiñ chehroñ pe khiltī kapās tak
kāġhaz pe us kī shakl banātā huuñ raat bhar
'nāsik' nahīñ huuñ jis kā maiñ chehra-shanās tak
pahuncha diya umid ko tufan-e-yas tak
bujhne na di furaat ne bachchon ki pyas tak
pahle to dastaras thi shajar ke libas tak
lekin KHizan ne noch liya sab ka mas tak
chhiDka gaya hai zahr daraKHton pe is qadar
talKHi mein Dhal gai hai phalon ki miThas tak
is bar bhi libas ko tarsengi chunniyan
ye raunaqen hain chehron pe khilti kapas tak
kaghaz pe us ki shakl banata hun raat bhar
'nasik' nahin hun jis ka main chehra-shanas tak
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 64)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.