pahuncha hun aasman pe tujhe DhunDhta hua
pahuñchā huuñ āsmāñ pe tujhe DhūñDhtā huā
ai muḳhtasar basīt sitāre qarīb aa
bikhre hue talab ke taqāze idhar-udhar
kapḌe gilās qahqahe sāhil pe jā-ba-jā
beTā suno kahā ye mujhe ik buzurg ne
mahdūd kis qadar hai ye TukḌā zamīn kā
un bastiyoñ ke paar udhar duur us taraf
larzāñ hai ḳhauf-e-marg se insān aaj kā
pāgal sā ek aadmī kal duur tak mujhe
muḌ muḌ ke dekhtā gayā pahchāntā gayā
pahuncha hun aasman pe tujhe DhunDhta hua
ai muKHtasar basit sitare qarib aa
bikhre hue talab ke taqaze idhar-udhar
kapDe gilas qahqahe sahil pe ja-ba-ja
beTa suno kaha ye mujhe ek buzurg ne
mahdud kis qadar hai ye TukDa zamin ka
un bastiyon ke par udhar dur us taraf
larzan hai KHauf-e-marg se insan aaj ka
pagal sa ek aadmi kal dur tak mujhe
muD muD ke dekhta gaya pahchanta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.